Nov 16, 2007

Sochta hoon ke usay

Sochta hoon ke usay neend bhi aatee ho gee
Ya meri tarhan faqat ashq baha tee hoo gee

Woh meri shakl mera nam bhulanay wali
Apni tasver say kia ankh milatee ho gee

Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say
Meray matam ki sada arsh hilatee hoo gee

Sham hutay hee woh chukhat pay jala kay shama
Apni palkon pay kaee khwab sulatee ho gee

Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas
Abb Muharam ki tarhan Eid manatee ho gee

Hotee ho gee meray piyar ki talab main pagal
Jab bhee zulfon main koi phool sajatee ho gee

Meri tareek zamanoo say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yad dilatee ho gee

Dil ki masooom ragain khud hi sulagtee hoon gee
Jun hee tasweer ka kona woh jalatee ho gee...!!!

No comments:

Post a Comment

Your feedback is warmly welcomed:
Contac us at: info@pakistanprobe.com

Popular Posts