Meray Mah-O-Saal Kay Beach Main
Koi Aisaa Lamha Gaya Nahin
Tera Naam Main Nay Liya Nahi
Tujhay Yaad Main Nay Kiya Nahin
Tera Kon Sa Woh Madaar Tha
Jahan Gardishain Meri Ruk Gaeen
Tera Kon Sa Woh Kahyal Tha
Jisay Main Nay Dhayan Diya Nahin
Mera Safar Adhoora Hi Reh Gaya
Mujhay Manzilon Ka Pata Nahin
Main Ne Humsafar Usay Maana Tha
Kabhi Saath Jis Nay Diya Nahin
Yahan Har Qadam Pe Hain Haadsay
Ye Khayal Hi Dil Ko Thaka Gaya
Yeh Safar Keh Siraat-E-Taaveel Hai
Abhi Aik Qadam Taak Utha Nahin
Yeh Meri Ana Ki Hai Sarkashi
Jo Wasf Aisay Sikha Gai
Main Darya Hoon Jo Gira Nahin
Wo Pahaar Hoon Jo Hilla Nahin
Koi Aik Aansoo Aisa Day
Dar-O-Baam Apnay Saja Loon Main
Tujhay Kya Khabar Meri Raah Main
Koi Taara, Jugnoo, Diya Nahin
Koi Be-Qarari Si Aaj Bhi Meray
Dil Main Khaar Hai Khenchti
Koi Dard Tha Jo Daba Nahin
Koi Aansoo Tha Jo Baha Nahin
Usay Baad Barson Ke Dekh Ke
Yunhi Aik Lamhay Ko Kya Huwa
Koi Saans Thi Jo Chali Nahin
Koi Zabt Hai Jo Huwa Nahin
I Love this ghazal!!! some 1 sent me and after reading this i was sad........... very sad............. why?? why??? plz u try to understand....... plzzzzzzzzzzzzz
No comments:
Post a Comment
Your feedback is warmly welcomed:
Contac us at: info@pakistanprobe.com