Sep 19, 2008

Tanha Tahna 1St Book of Faraz

 

yah main yah kuay daar yah tanhai dosto

kia tum b ban gaiy ho tamashai dosto

piaam e marag he k piaam e habib hay

sar sar chali k baad e murad aai dosto

yeh kia k aik teer e malamt na sah saky

honi hay ku ba ku abhi ruswai dosto

aagaz e sham e hijra hay bethy raho abhi

thehro zara k mout hay tanhai dosto

zanjeer kat gai k koi dost kat gaia

kuch to kaho ya kesi sada aai dosto

ik baar usko meri nigaho se dekh lo

phir khud kaho k kon he sodai dosto

wo husn e dil faroz k jan e faraz hay

khalaq khuda hy uski tamanai dosto

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

teri batain hi sunanay aaiy

dost b dil hi dukhany aaiy

phool khilty hain to hum sochty hain

tery aanay k zamany aaiy

asi kuch chup see lagi hay jesy

hum tuje haal sunanay aaiy

ishq tanha hay sar e manzil e gham

kon ya bojh uthany aaiy

ajnabi dost hamain dekh k hum

kuch tujhe yaad dilany aaiy

dil darkta hay safar k hangaam

kash phir koi bulane aaiy

ab to ronay se b dil dukhta hay

shayad ab hosh thikany aaiy

kia kahin phir koi basti ujri

log kyon jashan manany aaiy

so raho mout k pehloo main Faraz

neend kis wqat na jane aaiy

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

her aik dil ko talab her nazar sawali hay

k shaher e husn main jalwo ki qehat saali hay

kahan he dost k aashoob e dehar se maine

tery khayal ki aasoodgi bacha li hay

bata raha hy fiza ka atoot sanata

ufaq se phir koi aandi utarne wali hay

laraz rahy hain shagoofay chaman main khilty houy

hina e dast e saba main lahoo ki laali hay

peo sharab k naseh ne zehar b day kar

hamari jurat e rindana aazma li hay

phir aaj dana e gandum k silslay main Faraz

kisi khuda ne meri khald bech dali hay

 ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

kuch aisy hum ne kharaby basaye shehro main

jo dasht waly thy wo b uth aaiy shehro main

hamari sada dili dekhiay k doondty hain

hum apne des ki batain paraye shehro main

kuch is tarah se her ik baam o dark o dekhty hain

zamany baad koi jesy aaiy shehro main

suna hay jab b luti hay bahar e weerana

to chand or chaman muskuraiy shehro main

qadam qadam p huay talakh tajurby phir b

hamain hayat k gham kheench laiy shehro main

hawa na do k yeh jangle ki aag hay yaro

ajab nahi he agr phel jaiy shehro main

faraz hum wo ghazalan e dasht o sehra hain

aseer kar k jinhain log laiy shehro main

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

zindagi paaon na dal janab e anjaam abhi

mery zimay hain adhooray se kai kaam abhi

abhi taza hay bohat ghao bichar jany ka

gher leti hai teri yaad sar e sham abhi

jan deny main karoon der yeh mumkin hay kahan

muj tak aia hay meri jan tera pegam abhi

tor sakta hay mera dil ya zamana kaisay

mery seny main darkta hay tera naam abhi

mery hatho main hai majood tery hatho ka lams

dil main barpa hai usi sham ka kohram abhi

meri nazrain karain kesy tery chehry ka tawaf

meri ankho ne to bandhy nahi ehram abhi

yaad k abar sey ankhain meri beeghi hay Adeem

aik dundlka sa hay beegi to nahi shaam abhi

 
 


 
mainpapilon.gif picture by zubia_2007
  *~*~ P R I N C E S S   R U  K  H S A N A ~*~*
*~*~ P R I N C E S S   R U K H S A N A ~*~* *~*~ P R I N C E S S   R U K H S A N A ~*~*
 *~*~ P R I N C E S S   R U K H S A N A ~*~*
 

No comments:

Post a Comment

Your feedback is warmly welcomed:
Contac us at: info@pakistanprobe.com

Popular Posts