Nov 7, 2008

Heart Touching Poerty


Suno wafa ruswa nai karna  

Suno wafa ruswa nai karna
suno aisa nai krna.
main pehly hi akela hon
mujhy tanha nai krna.
bohat masroof ho jana to...socha nai krna.
Barosa bhe zarori hai magr sab ka nai krna.
Muqadar phir muqadar hai kabi dawa nai krna.
jo likha hai wo hona hai kabi shikwa nai krna.
meri takmel tum se hai mujhy adhora nai krna.
Haqeqat hai milan apna isy sapna nait krna.
humin tum yaad rehty ho humin bhola nai krna.
wafa Ruswa nai krna suno aisa nai krna.
suno aisa nai krna.

 
 
 
Meri Aankhon main Utar aao inhain Samander ker do

 Meri Aankhon main Utar aao inhain Samander ker do
Kuch Dair sahi Mohabbat ki ek nazar kar do
Toot ker yun Milo k Armaan na Reh jaye koi
Yun Mohabbat k her Lamhay ko Amar ker do
Tum pay Aaye na kabhi Waqt Qayamat sa
Bari Mushkil hay Judai isay Mukhtasir ker do
Jin k Noor say mil jaye Binae'ee mujhay bhi
Apnay Khwabon ko Meri Aankhon ki Nazar ker do
Dunya ki Talab naheen yehi Hasrat hay Meri
Apni Baahon main Lo aur Dunya say Baykhaber ker do.

 

Girti hui diwar ka hamdard hun lekin
Chrty hue suraj ki parastish nhi karta,
Hamdardi-e-ehbaab se darta hun 'Mohsin'
Main zakhm to rakhta hun numaish nhi karta

Woh Kehti hy,,

Woh Kehti hy,,
Batao besabab Q rooth jate ho ??
Me kehta hon,,
Zara mujh ko manao... Acha lagta hy..

Woh kehti hy,,
Mera Dil tm se aakhir Q nhi bharta ??
Me kehta hon,,
Mohßt ki koi had hi nhi hoti..!

Woh kehti hy,,
Batao.. Me tmhe Q bha gai itna ??
Me kehta hon,,
Meri JaaN haadse to ho hi jate hain..!


Woh kehti hy,,
Achanak me tmhe u hi rula do to ??
Me kehta hon,,
Mujhe darr hy k tu b bheeg jaye gi..!

Woh kehti hy,,
Batao baarish ki kya haqeqat hy ??
Me kehta hon,,
K ye badalon ki ankh roti hy..

Woh kehti hy,,
Tmhare khwab sare Q adhore hain ??
Me kehta hon,,
Meri JaaN tm inhe takmeel de do na..

 

Koshish k bawjaood bhi TU bhoolta nahi
Tere bagair kya karun kuch soojhta nahi
Hoti hai subha sham magr is k bawajod
Hai chand teri yaad ka jo doobta nahi.


Sochta hun k isey hale dil tmam likhun
Tmhare bin buhat hi udas sham likhun
Me isse puchun kahan tk chalo ge sath mere
Phr is maqam ko jewan ka ikhtetam likhun
Khud bna leti hy ye pyar hawale sare
Is k ehsas ko me kitna b benam likhun
Bs yehi dua hy mre lub pr humdm
Nam k sath hmesha me tra nam likhun.

 

 

 

 

 

 


No comments:

Post a Comment

Your feedback is warmly welcomed:
Contac us at: info@pakistanprobe.com

Popular Posts