Ghazal:-
Kis se apni dosti thi, kis se Shanasaai na pooch
Aisey chahat mai huey ruswa k Ruswai na pooch
Yun to ghayal bhi huey, ansu piye, lab see liye
Chaot jab dil per lagey, zakhm ki Gehrai na pooch
Kis qadar tareekyan aur chhaya tha kesa andher
Jiss se ham guzrey hain us dash ki Siyahi na pooch
Ek zara ahat pe dil seeney mai ruk jata hai kiyun
Iss qadar tanha huey hum, k Tanhaai na pooch
Hum liye bettey hain pehlu mai deil-e-azarda dost
Kaise bajti hai khushi k rang mai Shehnaai na pooch
Hum mai hi shayad kami thi, hum ko sab ilzam do
Wo hain bey-aib o khata, unki Achhaai na pooch
Sang they hathon mai aur nishana hum sabat
dosti mai doston ki Kaar-farmaaii na pooch
No comments:
Post a Comment
Your feedback is warmly welcomed:
Contac us at: info@pakistanprobe.com