Dec 22, 2008

Iss tarah ki baatoon main Ehtiyaat karate hain

Iss tarah ki baatoon main Ehtiyaat karate hain
Zindagi ki Raahoon main, baar-ha ye dekha hai
Sirf sun nahi rakha, khud bhi aazmaaya hai
Tajraboon se sabit hai,
jo bhi parhtae aaey hain
uss ko theek paaya hai,
iss tarah ki baatoon se Manziloon se pehlay hi,
saath chhoot jatay hain, Loag rooth jaatay hain,
ye tumhain bata doon main
Chaahatoon ke Rishtoon main, phir girah nahi lagti
Lag bhi jaaye to uss main, wo kashish nahi rehti
Ek pheeka pheeka sa raabta tu hota hai
Taazgi nahi rehti
Rooh kay Taalluq main, Zindagi nahi Rehti,
Baat wo nahi rehti
Laakh baar mil kay bhi dil nahi miltay
Zahan kay jharokoon main, yaad kay dareechoon main
Titilyoon kay Rangoon kay phool phir nahi khiltay
Iss liey main kehta hoon
Iss tarah ki baaton main Ehtiyaat kartay hain
Iss tarah ki baaton sae Ijtinaab kartay hain

No comments:

Post a Comment

Your feedback is warmly welcomed:
Contac us at: info@pakistanprobe.com

Popular Posts