Jul 25, 2017

5 days Tour to (NathiaGali, Neelum Muzaffarabad and Narran ) With Friends

We have started our journey on Wednesday 19-07-2017 at 7:00 AM in the Morning from Rawalpindi.
7 bjy Morning me Ghar se nikla aur 8:00 AM sharp Me aur Kashif Islamabad Hamza Anwar kk ghar puhnche. Apni mukamal Tyari krne k bad Wahan se hum 9 Bajy Suzuki swift me apne safar k liye Rawana huy. We were 3 friends (Kashif, Hamza and Toqeer) aur sab se pehle humne Rs. 2850 ka Petrol dalwaya aur Tank full karwaya.

Our Total Estimate was 30,000 which includes (Hotel Rents, Food, Traveling and others expenses).
Aur hamara plan jo k ye tha

Wednesday  We will go for Ayubia.
Thursday  We will go out for Thandiani.
Friday Travel from Nathia to Neelum Muzaffarabad and Visit to Neelum.
Saturday Will travel from Neelum to Naran and we will go out for Lake Saif ul Muluk
Sunday we will travel back to Home from Naran.

Nathia Gali Elites Hotel








Hum almost 1'O clock afternoon Hotel Elites Nathia Gali puhnch gay. Check in kiya , Namaz e zohar ada krne k bad lunch kia aur 3:30 PM Hum Ayubia k liye nikal gay.

Ayubia

 Ayubia Wahan se Almost 18 KM ha. Jo k Normal 30 minutes ki drive ha.Wahan puhnchne k bad Thora ghoomy Chair lift ki ride enjoy ki aur 8:00 PM tk wapis aa gay. 
Dinner krne k bad hum 10'O clock apne room me wapis aye  aur Sony ki tyari krne lagy.

Next day 20-07-2017 (Thursday) Breakfast krne k bad hum 9:00 AM morning Apne plan k mutabiq hum Thandiani k liye nikal gay. Nathia se Thandiani ka Rasta Taqreeban 50 KM ha. jo k normal drive pe 2 hours lagty hain. Thandiani ki taraf jaty huy Abbottabad city se 2km pechy Thandiani ki traf link road jata ha. Jo k top tk Single road ha. Rasta kafi Mushkil ha lekin Ehtiat se chalany se kafi asan ho jata ha. hum 11;30 tk Thandiani Top per puhnch gay 








Wahan Ka musam thora thanda tha Temperature almost 18 C tha. Lekin wahan thori he dair me with in one hour hume ye mehsos ho gya k Musam kharab ho raha ha aur Barish hony k Chances bhoot ziada ha. 1 Bajy k qareeb wahan bhoot teez barish shuru ho gai aur temperature 14 C tk puhnch gya.
Badal bhoot nechy hony ki waja se aur Barish ki waja se wapsi ka rasta bhoot mushkil tha keu k Single road the aur land sliding ka b khatra tha.




Humne Allah ka nam lia aur 1;15 k Qareeb hum wahan se us barish me rawana hoy Visibility bhoot ziada kam the hum 10 KM ki speed se chalty huy us barish me adhy rasty tk puhnch gay. Yahan puhnchny k bad hum ruk gay keu k agy ab kuch nazar nahi aa rha tha. 10 mint ki break k bad humne phr se apna safar jari kr dia


Aur es bar hume 2 ghanty sirf Thandiani se neche any tk lagy jo k sirf 23 KM ka rasta tha.
Yahan puhnch kar Abbottabad city ka view jo k bhoot dilkash tha uska lutf uthaya aur hum 4;30 bajy k qareeb wapis Nathia Gali puhnch gay. Humne wahan Puhnch kr Lunch kia yahan par b Musam kafi thana tha temperature 16 C tk tha. Phr apne mamol k mutabiq thori ci Walk ki aur Sham hony k bad hum bazar ki taraf nikal gay aur wahan se kuch shopping krne k bad Apne hotel puhnchy Dinner kia aur Apne room me ja k aram krne lagy.

Next day 21-07-2017 (Friday) 2 days and 2 Nights stay k bad ab next day humne yahan se check out krna tha. Hum jaldi uthy Namaz k bad apni tyari ki Apna saman pack kia aur ready hony k bad Breakfast kiya lekin check out krty krty hume hotel se nikalty huy 10 baj gay. Yahan Hamra total kharcha 5000 hua jo k sirf Khany ka tha. Elites ka Hotel rent total kharchy me included nahi tha.


10 k qareeb hum Neelum Valley Muzaffarabad, Kashmir k liye Rawana ho gay.




Muzaffarabad yahan se 102 KM k fasly par ha jo k 5 hour ki Drive ha. Hum 10 bjy nikly Traffic bhoot ziada the 11 bajy k qareeb Muree se petrol Dalwaty huy Apni manzil ki taraf nikal pary. 
2 bajy K qareeb humne Muzaffarabad ki masjid me Namaz e jumma ada kiya Aur Allah ka shukar ada krne k bad Allah se Hifazat aur khairiat ki dua krne k bad rawana huy.






Hum apne next Hotel Kashmir lodges me 3 bajy check in krne k bad Lunch k liye nikly. Lunch krne k bad sab se pehle humne Neelum Valley point ka visit kia. Intahai Khoobsurat Bow shape ki ye valley jo k apne aik side pe buland pahar aur Bow k daman me Ghar liye Khobsurat manzar peesh kar rahi the. wahan se humne Muzaffarabad Airport ka rukh kia aur phr Airport ka visit kia. Ye Airport Hangami halat me istamal ki jati ha. Jaisa ka ( Selab, Zalzala ya phr Jangi surat e hal me istamal ki jati ha).

Esko Visit krty krty hume Maghrib  ho chuki the. Thakawat ki waja se humne Hi Tea ka plan bnaya aur kisi achy restaurant ki talash me nikal pary.


Google Map k through humne search kia to 3 KM k fasly par hume Pearl Continental ka option nazar aya.




Hum namaz e maghrib ada krne k foran bad PC ki taraf chaly gay aur 8 bajy  qareeb wahan puhnch gay. Pehle tw HI Tea ka program tha lekin phr usko Humne Dinner me badal dia aur PC k chines restaurant Tai Pan se Dinner ka irada kia. 9 bajy tk Order confirm krne k bad humne PC  se nazar any 
waly Khobsurat tareen shehr Muzaffarabad ka Manzar dekha jo apni misal aap tha. Aysa lag rha tha jaise sitary sab paharo par chamak rahy hon aur aik Dil ko bhany wala manzar tha. Dinner ka Bill 4500 k qareeb aya, Bill pay krne k bad hum apne hotel ki taraf rawana huy aur 11;00 PM k qareeb apne room me wapis aye aur Aram krne lagy.





Next day 22-07-2017 (Saturday) 1 Night stay k bad Aaj hume Naran k liye rawana hona tha. Subah subah apni poori tyari krne k bad halka phulka sa kashmiri Nashta kia aur poory 7:30 PM humne es hotel ko b khair abad kha aur Total Rent Rs.5000 pay krne k bad hum wahan se Naran ki taraf nikal pary.


Muzaffarabad se Naran ka Rasta 120 KM ha jo k Normal Drive p 5:30 Hour ki Drive ha. 7:30 se 11;30 PM tk 4 hour ki continuously drive k bad hum Balakoot cross krty huy Kaghan puhnch gay. Wahan se humne Nashta kia aur 12;15 pe hum dobara nikal pary. Kaghan se Naran tk ka Distance 25 KM ha jo k normal drive 1 Hour ha.




hum 1;30 bjy k qareeb apne Hotel The Land Mark me check in krne k bad Namaz Ada ki aur 2 bjy Lake saif ul Muluk k liye rawana ho gay. Yahan se Agy car ka jana Na mumkin ha keu k ye road bhooot kharab ha. Yahan se sirf Jeep jati ha jiska Rent Rs. 2500 ha. Saif ul Muluk lake Naran se sirf 10 KM ka rasta ha lekin road bhoot kharab hony ki waja se 1 hour and 15 minutes jeep p lag jata ha.







hum 3:20 tk Lake saif ul Muluk puhnch gay. Yahan par Glaciers aur Thandy pani aur Height ki waja se thand the aur Musam b Kharab tha jis waja se temperature 11 C tha. Humne Lake ka poora round lgaya lekin abhi lake k doosre end per puhnchy he they k shadeed barish shuru ho gai aur Thand me izafa ho gya Umbrella aik tha aur hum 3 





Es thandi barish me mushkil se khud ko bachaty huy hum Lake k darmiyan me puhnchy to wahan puhnch kar Khuda ki es qudrat ko dekh kr be saakhta subhal Allah nikla. Lake k Aik end par Barish the Mid me dhoop the aur dossre end par badal bany huy the. Es Lake ka poora round lagany k liye 1 hour and 45 minutes chahye hotay ha. Hum 5:20 PM par Lake k es end pe Dobara puhnch gay. 




Yahan per Jeeps ki tadaad 500 k Qareeb the. Apni Jeep ko talash krna Intahai mushkil tha lekin agar aik khas Nishani rakhi jay tw apni jeep ko asani se talash kia ja skta ha. 5:40 k qareeb hum wahan se Wapis Nikly aur aram se aty rahy aur 7:00 bajy hum Neechy wapis puhnch gay. Ab  hum maghrib ki namaz ki tyari krne lagy aur phr Narran Bazar ki sair ko nikly.







Rat ko 9 bajy k Qareeb hum wapis apne hotel aye aur Dinner k liye Hotel k restaurant me hi order dia Khud Namaz e Isha Ada ki aur 10 bjy k qareeb hum Uper Restaurant me Dinner k liye puhnch gay. Bil aakhir apne room me wapis aye Aur Aram krne lagy 





Next day 23-07-2017 (Sunday) Subah Aram se Uthne k bad humne Narran ki Aik khoobsurat subah koWelcome kia aur Aik dil kash Mazar se lutf uthaya. Humne apni packing ki aur Full tyari krne k bad humne Breakfast kia jo k hotel ki taraf se Complimentary tha. Es hotel ka rent Rs. 5000 pay krne k bad Check out  kia aur 10 Bajy k Qareeb apne ghar k liye rawana ho gay. Yahan Naran se Rawalpindi tk ka Distance 253 KM ha jo k Normal Drive 9 se 10 ghanty ha. 





 Humne 10 bjy rukht e safar bandha aur Balakot tk hum Musalsal aty rahy Yahan par aik ghanty ki break k liye ruky aur Lunch k liye Aabshar restaurant ka Rukh kia. Aur es khoobsurat restaurant jahan Hamary tabale aur chairs k neeche se taza paani beh rha tha aur hamary paon pani me dooby huy the aur uper hum Apna din ka khana khaa rahy the. Intahai lazeez aur intahai  Khoobsurat way me khana khany k bad Hum apna safar dobara se Continue kia. aur agla stop ab hamara Abbottabad City tha.





Taqreeban 140 KM ka distance hum cover kar chuky the Sham k 6 bajy hum Abbottabad puhnchy wahan chota sa adhy ghanty ka break lia aur 6:30 dobara apna safar continue kiya.
Rat ko 10 K qareeb hum Islamabad Kashmir highway puhnchy aur wahan se Careem bbok karwai aur 11 bajy apne Ghar wapis Puhnch gay. 





No comments:

Post a Comment

Your feedback is warmly welcomed:
Contac us at: info@pakistanprobe.com

Popular Posts