nakam nahe naashaad nahe mai qais nahe farhad nahe puno bhe nahe ranjha b nahe wamiq bhe nahe mirza bhe nahe wo loog tu bas afsana thy es shiddat say by'gana thay mai zinda ek haqeqat hon sarapa jazba-e-fulfat hon mai tum ko dekh k jeeta hon har lamha tum pe marta hon mai esi mohabbat karta hon tum kesi mohabbat kartay ho? tum jaha bhe beth kar jatay ho jis cheez ko hath lagatay ho mai wahe pe betha rehta hon us cheez ko chuta rehta hon main aisi mohabbt karta hoon tum kesi mohabbat karty ho tum jis se huns k milti ho main us ko dost banata hoon tum jis rustay par chalti ho main us say aata jata hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karty ho tum jin ko daykhti rehti ho wo khuwab....sarhanay rakhta hoon tum say milnay julnay k kitnay hi bahanay rakhta hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho kuch khuwab saja kar aankhoon main palkon say moti chunta hoon koi lums agar choo jaa a to main pehroon us ko sochta hoon main...aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho jin logon main tum rehti ho tum jin say batain karti ho tum jin say huns k milti ho jo tum ko achay lagtay hoon wohi mujh ko achy lagtay hain main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho jis bagh main subh ko jati ho jis sabzay par tum chalti ho jo shakh tumhain choo jati hay jo khushboo...tum ko bhati hay wo os tumharay chehray par jo qatra qatra girti hai wo titli chor k phoolon ko jo tum say milnay aati hai jo tum ko choonay aati hay un sab k nazuk jazbon main meray dil ki dharkan basti hai miri rooh bhi shamil rehti hai tum paas raho ya door raho nazron main samai rehti ho main tum ko takta rehta hoon main tum ko sochta rehta hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho jis college main tum parhti ho jis class main bhi tum jati ho jis kursi peh tum baythti ho jab class wo khali hoti hai main ja k us main baythta hoon mai usko chuta rehta hon jo kapi tum ne gum ke thi mai apnay bag mai rakhna hon gadla sa ik tissue paper jo tum nay class main choora tha wo mere parse mai rehta hai wo mere lums mai rehta hai wo makhmal hai wo deeba hai wo chandi hai wo soona hai wo umbar hai wo sandal hai wo kushbo ka ek jangle hai har manzar mai har rastay par mai sath tumharay rehta hon main chashm-e-tasavvur sy aksar bus tum ko dekhta rehta hoon bus tum ko sochta rehta hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho |
Nov 20, 2008
Main esi Muhbat Karta hoon - tum kaisi mohabbat karti ho
Posted by
Shahzad Afzal
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Popular Posts
-
This is an exclusive interview and pictures of Umera Ahmed the great Novelist and Screenplay writer. I have found these two pics on in...
-
Pakistani Celebrity Wedding Pictures Salman Butt's engagment with tennis star Maira Hadiqa Ki...
-
Airblue Flight 202 was a scheduled domestic passenger flight which crashed on 28 July, 2010 near Islamabad, the capital of Pakistan, killin...
-
RESUME-1 Manmohan Singh EDUCATION /Qualification: 1950: Stood first in BA (Hons), Economics, Panjab University, Chandigarh , 1952; St...
-
If you are in any sort of confusion regarding the murder of Salman Taseer by his bodyguard Malik Mumtaz Hussain Qadri please read this art...
-
Make your own Impossible Triangle Well, we did the impossible - triangle, that is... Now you can...
-
One woman and her struggle to stand in life, will she be able to stand tall without any man or is it a conventional story? Women’s pos...
-
I have received a number of forwarded emails regarding E631 being present in the Lays Masala which is a product of Pepsi. It is highlighted ...
-
A recent Bloomberg report shows Pakistani Software Engineers are earning six times the average salary as compared to other Pakistan...
luv u shahzad afzal.........
ReplyDeletedon't tell me :)
ReplyDeletedon't tell me :)
ReplyDelete