Nov 20, 2008

Main esi Muhbat Karta hoon - tum kaisi mohabbat karti ho


nakam nahe naashaad nahe
mai qais nahe farhad nahe
puno bhe nahe ranjha b nahe
wamiq bhe nahe mirza bhe nahe
wo loog tu bas afsana thy
es shiddat say by'gana thay
mai zinda ek haqeqat hon
sarapa jazba-e-fulfat hon
mai tum ko dekh k jeeta hon
har lamha tum pe marta hon
mai esi mohabbat karta hon
tum kesi mohabbat kartay ho?

tum jaha bhe beth kar jatay ho
jis cheez ko hath lagatay ho
mai wahe pe betha rehta hon
us cheez ko chuta rehta hon
main aisi mohabbt karta hoon
tum kesi mohabbat karty ho

tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karty ho

tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab....sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
 
kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main...aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo...tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
 
jis college main tum parhti ho
jis class main bhi tum jati ho
jis kursi peh tum baythti ho
jab class wo khali hoti hai
main ja k us main baythta hoon
mai usko chuta rehta hon
jo kapi tum ne gum ke thi
mai apnay bag mai rakhna hon
gadla sa ik tissue paper
jo tum nay class main choora tha
wo mere parse mai rehta hai
wo mere lums mai rehta hai
wo makhmal hai wo deeba hai
wo chandi hai wo soona hai
wo umbar hai wo sandal hai
wo kushbo ka ek jangle hai
har manzar mai har rastay par
mai sath tumharay rehta hon
main chashm-e-tasavvur sy aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

3 comments:

Your feedback is warmly welcomed:
Contac us at: info@pakistanprobe.com

Popular Posts