Nov 20, 2011

ye safai ka masuam hia

You know what? I know ap logon ko Pakistan k media se nafart mehsoos hoti wo hamisha ham logon ko darate rehte hian... Ye hone wala hia? Ye ho jae ga? Ye ho raha hia? Aik anjana khauf hai. Aik ghair yakeeni sorat-e-hal hia. Ham jante hian mayusi kufar hia magar ham Pakistanio ko nah chahte hoey bi iss "kufar" ki simat le jaya ja raha hia... Kion k jab umeed toot jati hia phir insan himat har jata hia... phir agar kuch karna bi chahe tu kuch kar nahi sakta. Ham Pakistanio ko usi simat laya ja raha. Hamin din raat yehi dose di ja rahi hia... likan sach kuch aur hia... haqeeqat kuch aur hia... Zulam hia aur aur bar raha hia... magar if m not wrong Sahir Ludhianvi k shair hia

Zulm Phir Zulm Hai, BaRhta Tai to miT Jaataa Hai
Khoon Phir Khoon Hai, Tapkega To Jam Jaayega


Snippet from Article of Orya Maqbool Jan  

Thank you Orya Maqbool Jan he is such an inspirational writer, he always inspired by his writings. His writing always different from others. 

Ab jab her koi hamin dara raha hia magar read this snippet from his recent article wo should say Allah-o-Akbar... han ye safai ka masuam hia...

Complete column:
http://1.bp.blogspot.com/-WCFPfyiSOgg/Tsdpp5HQOWI/AAAAAAAAFPs/to9Fuve06Us/s1600/ORYA%2BMAQBOOL%2BJAAN-758664.gif

and liste this also :)






zulm phir zulm hai, baRhta hai to miT jaataa hai
Khoon phir Khoon hai, Tapkega to jam jaayega


Khaak-e-sehra pe jame yaa kaf-e-qaatil pe jame
farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasal pe jame
teGh-e-bedaad pe yaa laasha-e-bismil pe jame
Khoon phir Khoon hai Tapkega to jam jaayega

laakh baiThe koi chhup chhup ke kameeN gaahoN meiN
Khoon Khud deta hai jalaadoN ke maskan ka suraaGh
saazisheiN laaKh uRaati raheiN zulmat ka naqaab
le ke har booNd nikalti hai hatheli pe chiraaGh

zulm kii qismat-e-nakaarah-o-rusvaa se kaho
jab’r kii hikmat-e-purkaar ke eema se kaho
mehmal-e-majlis-e-aqwaam kii laila se kaho

Khoon diiwana hai, daaman pe lapak sakta hai
shola-e-tuNd hai, Khirman pe lapak sakta hai

tum ne jis Khoon ko maqtal meiN dabaanaa chaaha
aaj vo kuchaa-o-bazaar meiN aa nikla hai

kahiiN shola kahiiN naarah kahiiN patthar ban ke
Khoon chalta hai to rukta nahiiN sangeeno se
sar jo uThtaa hai to dabtaa nahiiN aaeeno se

zulm ki baat hi kya, zulm ki auqaat hi kya
zulm bas zulm hai, aaGhaaz se anjaam talak

Khoon phir Khoon hai, so shakl badal sakta hai
aisi shakleiN ke miTaaoo to miTaaye na bane
aise shole k bujhaao to bujhaaye na bane
aise naare k dabaao to dabaaye na bane


zulm phir zulm hai, baRhta hai to miT jaataa hai
Khoon phir Khoon hai, Tapkega to jam jaayega

Sahir Ludhianvi 

No comments:

Post a Comment

Your feedback is warmly welcomed:
Contac us at: info@pakistanprobe.com

Popular Posts